Logo

About Us

The spiritual foundation of Silsila Yousufia Tajiya lies in the teachings and blessings of our great Mashaikh.

The Great Sufi Saint

Hazrat Baba Tajuddin Nagpuri (RA)

"Shehensha-e-Haft-e-Aqleem"

Hazrat Baba Tajuddin Nagpuri (RA)

"Log unhein pagal samajhte thay, magar wo dunya ko raushni dikha rahe thay."

Hazrat Baba Tajuddin Nagpuri, jinhein dunya Taj Piya ke naam se bhi jaanti hai, 19th century ke ek azeem Sufi sant aur wali-allah thay. Aapki paidaish 27 January 1861 ko Nagpur ke qareeb Kamthi mein hui.

Aap Imam Hasan Askari (AS) ke Potey Hen isliye aapko 'Syed' hone ka sharf hasil hai. Baba Tajuddin bachpan hi mein Mam Bap ka Saya apke Ser se uth chuka tha magar unki roohani qabiliyat bachpan se hi nazar aane lagi thi.

"Hazrat Abdulla Shah Qadri (RA) ne aapko dekh kar peshangoi ki thi ke ye baccha dunya ko raushni dikhayega."

Pagal-Khane Ka Waqiya (The Asylum Miracle)

Baba Tajuddin ki zindagi ka sab se hairat-angez hissa wo 16 saal hain jo aapne Nagpur ke ek pagal-khane (Asylum) mein guzare. Log unhein pagal samajhte thay, magar Pagal-khana ek tarah se roohani markaz (Spiritual Center) ban gaya jahan hazaron log apni mushkilaat lekar aate thay. Baad mein Nagpur ke Raja, Maharaja Raghoji Rao Bhonsle ne aapki azmat ko pehchana aur aapko apne mehal mein lekar aaye.

Taleemat (Teachings)

Baba Tajuddin ka sabaq hamesha "Insaaniyat ki Khidmat" raha. Aapke darbar mein Hindu, Muslim, Sikh aur Isayi—sab barabar thay. Aap farmate thay ke:

"Khuda tak pahunchne ka rasta makhlooq-e-khuda ki mohabbat se hokar guzarta hai."

Tajbagh Sharif (Wisaal)

17 August 1925 ko aap is fani dunya se rukhsat ho gaye. Aapka mazaar-e-mubarak Nagpur mein Tajbagh Sharif ke naam se mashhoor hai. Aaj bhi wahan har mazhab ke log hazri dete hain aur maana jata hai ke Taj Piya ke darbar se koi khali hath nahi laut-ta.

Legacy

Baba Tajuddin ki zindagi humein ye sikhati hai ke asli badshahat dunya ki daulat mein nahi, balkay dil ki pakeezgi aur dusron ke dukh baantne mein hai. Aap aaj bhi laakhon dilon par hukumat kar rahe hain, isliye aapko "Shehensha-e-Haft-e-Aqleem" (Saaton aqleemon ka badshah) kaha jata hai.

The Spiritual Successor

Hazrat Sayed Ghaus Mohammad Yousuf Shah Taji (RA)

"The Key to the Treasure"

Hazrat Yousuf Shah Taji, jinka asal naam Abdul Kareem Shah tha, Hazrat Baba Tajuddin Auliya (RA) ke sab se pasandida aur azeem Khalifa thay. Aapne hi Taji silsile ki bunyaad rakhi aur dunya bhar mein Taj Piya ka paigham phailaya.

Hazrat Baba Tajuddin (RA) ne aapki roohani qabiliyat ko dekhte hue aapka naam 'Yousuf Shah' rakha aur aapko apna beta keh kar pukara. Aapki mohabbat aur khidmat ki wajah se Baba Tajuddin ne ek mashhoor tareekhi jumla farmaya tha:

"Yousuf Meri Tijori Ki Kunji (Key) Hai."

Roohani Safar aur Legacy

1925 mein Baba Tajuddin ke wisaal ke baad, Hazrat Yousuf Shah Taji ne is roohani mision ko sambhala. Aapki koshishon se hi aaj "Silsila Yousufia Tajiya" dunya bhar mein jaana jata hai. Aapka mazaar-e-mubarak Mewashah, Karachi (Pakistan) mein hai, jahan aaj bhi Taj Piya ki roohaniyat ka faiz jari hai.

Hazrat Yousuf Shah Taji (RA)

"Baba Tajuddin ne farmaya tha ke Yousuf unka beta hai aur unki tijori ki kunji hai."

Silsila Yousufia Tajiya

Aapne apni poori zindagi Baba Tajuddin ki mohabbat aur unki taleemat ko aam karne mein guzar di. Aaj ye silsila aapke betay Baba Aftab Kareem Yousufi Taji ab unke betay Hazrat Sayed Imran Aaftab Yousufi Taji Janasheen-e-silsila Yousufia Tajiya aur deeger khulafa-e-silsila ke zariye dunya bhar mein hidayat ka zariya bana hua hai.

Baba Aftab Kareem Yousufi Taji (RA)

"Silsila Yousufia Tajiya ki roohani ameanat, baap se beta tak."

The Third Janasheen

Hazrat Syed Baba Aftab Kareem Yousufi Taji (Q.S.A.)

Ta'aruf

Hazrat Syed Baba Aftab Kareem Yousufi Taji (Kalu Pasha Miyan Sarkar), Hazrat Syed Ghaus Muhammad Baba Yusuf Shah Taji (Huzoor Yusuf-ul-Auliya) ke iklaute farzand, roohani waris aur Jansheen hain.

"Roohani wirasat baap se beta tak, ek ameanat ki tarah muntaqil hoti rahi."

Khusoosiyat

  • Wiladat: 1 January 1944 ko Mahboob Manzil, Ajmer Sharif mein hui.
  • Bai'at: Bachpan mein hi apne walid ke mubarak haathon par bai'at ki aur roohani tarbiyat payi.
  • Khidmat: Silsila-e-Yousufiya Tajiya ke faiz ko Pakistan ke mukhtalif shehron mein phailaya.
  • Karguzari: Hazaron talibeen-e-haq ki islahi rehnumai ki aur silsile ko mazbooti di.

Khulasa-e-Aqaid (Khulfa ke Aqwal)

"Aap wirasat-e-daulat-e-wilayat se bharpoor aur apne murshid ke qaaim maqam hain."— Khalifa Baba Shaukat Ali Khan
"Aap bachpan se apne waalid ke qadam-ba-qadam aur zouq-e-khuda talabi mein sarshaar hain."— Baba Farid-ud-Din Shah Kareem (Naib Sajjada Nasheen)

Legacy

Aapke baad, ye roohani silsila aapke betay Hazrat Sayed Imran Aaftab Yousufi Taji ke haathon mein aaya, jo aaj Silsila Yousufia Tajiya ke Janasheen hain aur Taj Piya ki taleemat ko dunya bhar mein phaila rahe hain.

The Current Janasheen

Hazrat Sayed Imran Aaftab Yousufi Taji

5 February 2008 (26 Muharram-ul-Haram) ko Urs-e-Mubarak Huzoor Taj-ul-Auliya ke mauqe par Huzoor Aftab-ul-Auliya Hazrat Baba Syed Aftab Kareem Yousufi Taji Qaddas Sirrahul Aziz ne apne farzand Hazrat Syed Baba Imran Aftab Yousufi Taji ko apna baqaida Jansheen aur Silsila-e-Yousufiya Tajiya ka Roohani Waris muqarrar farmaya.

"Roohani silsila naslon se guzarta hua, aaj bhi ummat ki hidayat ka zariya bana hua hai."

Khidmat aur Rehnumai

Aaj Hazrat Syed Baba Imran Aftab Yousufi Taji, apne aslaaf ke roohani faiz ko jari rakhte hue bai'at, tarbiyat-e-sulook, islahi rehnumai aur khidmat-e-deen ke zariye duniya bhar ke mureedeen ki rehnumai farma rahe hain.

Hazrat Sayed Imran Aaftab Yousufi Taji

"Silsila Yousufia Tajiya ke maujooda Janasheen."

Home
About
Library
Media
Contact